• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dekha Idhar Kisi Ne Udhar Maine Aah Ki

Dekha Idhar Kisi Ne Udhar Maine Aah Ki

poet

dekha idhar kisi ne udhar main ne aah ki

taḌpa rahi hai qalb ko bijli nigah ki

ban aa.e phir to hashr men har uzr-ḳhvah ki

do apne haath se jo saza tum gunah ki

ab main yunhi lahad men bhi badlunga karvaTen

mera to dam nikalta tha kyon tum ne aah ki

samjhe na bachpane se ki kis par paḌega tiir

a.ina dekhne men bhi tirchhi nigah ki

ik aur bhi rafiq mira chhuTne ko hai

hathon se dil pakaḌ liya jab main ne aah ki

vo aur ruḳh pe zulf ko bikhra.e aa.e hain

taqdir dekhiye mire roz-e-siyah ki

main mar gaya tha ḳhanda-e-zaḳhm-e-jigar se bhi

zalim hansi men jaan ga.i be-gunah ki

kuchh aap ka gila tha na shikva adu ka tha

sharma ke kyon huzur ne nichi nigah ki

ankhon hi men rahega ye ‘safdar’ ka ḳhuun hai

tum aa.ine men dekho to surḳhi nigah ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahsan-marahravi

Qasid Nai Ada Se Ada-e-Payam Ho

poet

Mast Ankhiyan Ka dekh dumbaala

poet

Biphrai Biphrai Maujen Koson Dur Kinara Sa

akbar-allahabadi

Agar dil Waqif-E-Nairangi-E-Tab-E-Sanam Hota

Zamin Ke Hath Mein Hun Aur Na Aasman Ke Hi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet