shikast-e-ahd par is ke siva bahana bhi kya
ki us ka koi nahin tha mira thikana bhi kya
ye sach hai us se bichhad kar mujhe zamana hua
magar vo lautna chahe to phir zamana bhi kya
main har taraf huun vo aae shikar kar le mujhe
jahan hadaf hi hadaf ho to phir nishana bhi kya
vo chahta hai saliqe se baat karne lagun
jo itni sach ho banegi bhala fasana bhi kya
usi ravish par chalo zindagi guzar aaen
sivae is ke karen harf ko bahana bhi kya
jo lafz bhulna chahun vo yaad aata hai
miri saza ke liye aur taziyana bhi kya
ab us gali men hai kya intizam ke laaeq
to phir risala-e-dil ko karen ravana bhi kya
faraz-e-mah bhi pahnaiyan bhi raushan hain
charagh jalta hai koi tah-e-khazana bhi kya
jahan bhi jaun vahi intizar ki surat
vo mujh ko chahe magar itna valihana bhi kya
mira vajud nahin khanqah se bahar
magar fishar-e-ghazal men ye sufiyana bhi kya
Leave a Reply