nigah mujh se milane ki un men taab nahin
mere saval ka shayad koi javab nahin
bahut dinon se koi dil men iztirab nahin
samaya ankhon men ab aur koi ḳhvab nahin
miri ana to abhi sar-buland hai mujh men
mujhe shikast bhi de kar vo kamyab nahin
ḳhuda ka shukr hai sharm-o-haya salamat hai
vo a.ina hai magar main bhi be-hijab nahin
bahar aane ko aa.i saman nahin badla
khile hai ḳhaar har ik shaḳh par gulab nahin
yahan dimagh nahin dil ki hoti hai ta.alim
huzur-e-ishq ke maktab ka kuchh nisab nahin
hijab men hai har ik raaz meri hasti ka
zamana shauq se paḌh le ye vo kitab nahin
koi bata.e ki sambhlen to kis tarah sambhlen
mili hain Thokaren itni ki kuchh hisab nahin
haan mere fan se munavvar hai ik jahan lekin
main ek zarra-e-ḳhaki huun aftab nahin
‘siya’ sukun se baaqi hai jo guzar jaa.e
ab aur ranj sahun itni mujh men taab nahin
Leave a Reply