• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dushman Ki Taraf Ho Ke Nikalne Nahin dete

dushman Ki Taraf Ho Ke Nikalne Nahin dete

riyaz-khairabadi

dushman ki taraf ho ke nikalne nahin dete

ham ko vo buri raah bhi chalne nahin dete

ankhen hamen talvon se vo malne nahin dete

ham chutkiyon se dil ko masalne nahin dete

kahte hain mai-e-nab hasinon ka hai joban

ham bazm men apni use dhalne nahin dete

vo kya lahd-e-ghair ko pamal karenge

chalte hue fiqre bhi to chalne nahin dete

jalta huun bachate hain use soz-e-darun se

dushman ko miri aag men jalne nahin dete

nazuk hai mire nakhl-e-tamanna ki har ik shakh

is khauf se vo phulne-phalne nahin dete

kab bose liye un ke jo bal khaae hain gesu

tum galon ko kyuun zahr ugalne nahin dete

aai hai ye kahti hui kis ki shab-e-furqat

ham rang zamane ko badalne nahin dete

dar hai na dupatta kahin siine se sarak jaae

pankha bhi hamen paas se jhalne nahin dete

kyuun ham ko jalate ho dam-e-vasl ye kya hai

kyuun phunkte ho shama ko jalne nahin dete

hai jaan miri kashmakash-e-naza men din-rat

arman to kya dam bhi nikalne nahin dete

khulne nahin dete kabhi kam-zarfi vaaiz

ham rind pila kar bhi ubalne nahin dete

jaata huun to aati hai yahi tuur se avaz

ham dekhne valon ko sambhalne nahin dete

kya kaam ‘riyaz’ aane ko sau baar bahar aae

ham ko ye hasin phulne-phalne nahin dete

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Azal Ke Qissa-Go Ne Dil Ki Jo Utari Dastan

Chand Kuchh Der Ko Aate Ho Chale Jate Ho

Rawan in Paniyon Par Bulbule Hain

Sufi

Jabin-e-Shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-Saadat de

poet

Hum Tujhse Koi Baat Bhi Karne Ke Nahin The

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet