baaqi na rahe hosh junun aisa hua tez
utna hi bhaTakta raha main jitna chala tez
din Dhalne laga baḌhne lage shaam ke saa.e
ai sust qadam ab to qadam apne uTha tez
kya janiye zalim ne kise qatl kiya hai
kyuun hathon men aaj us ke hua rang-e-hina tez
ab manzil-e-maqsud bahut duur nahin hai
ai ham-safaro aur zara aur zara tez
dekho to sahi kis ke ishare pe chali hai
aa.i hai kidhar se ye fasadon ki hava tez
allah re ye mere safine ka muqaddar
do haath hi sahil tha ki tufan chaḌha tez
ai ‘shauq’ mire haal pe ye ḳhuub karam hai
jab sham.a jalata huun to hoti hai hava tez
Leave a Reply