kis qadar mahdud kar deta hai gham insan ko
ḳhatm kar deta hai har ummid har imkan ko
giit gaata bhi nahin ghar ko sajata bhi nahin
aur badalta bhi nahin vo saaz ko saman ko
itne barson ki riyazat se jo qaa.em ho saka
aap se ḳhatra bahut hai mere is iman ko
koi rukta hi nahin is ki tasalli ke liye
dekhta rahta hai dil har ajnabi mehman ko
ab to ye shayad kisi bhi kaam aa sakta nahin
aap hi le ja.iye mere dil-e-nadan ko
shahr valon ko to jaise kuchh pata chalta nahin
rokta rahta hai sahil roz-o-shab tufan ko
Leave a Reply