ek dhoka hai dilkashi kya hai
ham samajhte hain dosti kya hai
ansuon ki ho aur umr daraz
chand-taron ki raushni kya hai
husn ki ik nigah jan-parvar
ishq ki aur zindagi kya hai
ham ne dekha hai bhigi palkon ko
aap kya janen tishnagi kya hai
ruThna ik ada to hai lekin
ye hamesha ki barhami kya hai
dil ko nisbat hai un ke dil se ‘ra.is’
jazb-e-ulfat men ab kami kya hai
Leave a Reply