hai mohabbat sab ko us ke abru-e-khamdar ki
hind men kya aabru baaqi rahi talvar ki
vasl ki shab chandni divar se jaane na paae
minnaten karta huun har khar-e-sar-e-divar ki
ustura phirne se ru-e-yar par hai daur-e-khat
chaal us kam-bakht ne sikhi hai kya parkar ki
nashsha-e-mai ka guman karne laga vo bad-guman
dekh kar surkhi hamare dida-e-khun-bar ki
ghar bhi mera muntazir hai yaar ka meri tarah
rauzan-e-dar men hai surat dida-e-bedar ki
kahte ho ham khvab men aate jo tu sota kabhi
khuub ki barbad mehnat dida-e-bedar ki
bagh-e-alam men kahan hai koi mujh sa rahm-dil
roz karta huun ayadat nargis-e-bimar ki
dagh-e-sar hain josh-e-sauda men ba-rang-e-gul mujhe
misl-e-gulbun paanv men kab hai shikayat khaar ki
vo khuda ka dost hai aur dost hai us ka khuda
kyuun na ho ‘nasikh’ mohabbat haidar-e-karrar ki
Leave a Reply