kho kar tiri gali men dil-e-be-ḳhabar ko main
fikr-e-ḳhudi se chhuT gaya umr bhar ko main
sazish ba-qadr-e-rabt thi tuur o jamal men
samjha huun aaj uqda-e-sang-e-sharar ko main
ab hai to mustaqil ho farogh-e-shab-e-visal
aisa na ho charagh jala.un sahar ko main
sahra se baar baar vatan kaun ja.ega
kyuun ai junun yahin na uTha la.un ghar ko main
jhuma kya surur se ‘simab’ raat bhar
dekha kiya kisi ki nashili nazar ko main
Leave a Reply