guzarne ko to sab zindagi guzarte hain
ham ahl-e-ishq ajab zindagi guzarte hain
fareb khate chale ja rahe hain duniya se
koi saliqa na Dhab zindagi guzarte hain
vo chand roz jo achchhe dinon se hain mausum
na tab guzari na ab zindagi guzarte hain
jinhen qubul nahin lamha bhar ki ham-safari
hamare saath vo kab zindagi guzarte hain
bhaTak rahe hain kisi dasht-e-be-karan men magar
ik aarzu ke sabab zindagi guzarte hain
Leave a Reply