• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / ruTh Jae Wo Mah-Jabin Na Kahin

ruTh Jae Wo Mah-Jabin Na Kahin

poet

ruuTh jaa.e vo mah-jabin na kahin

lab pe aa jaa.e phir nahin na kahin

ham ne duniya ko chhan maara hai

tujh sa dekha magar hasin na kahin

teri janib se mujh ko khaTka hai

ghair ho jaa.e dil-nashin na kahin

shikva dushman ka karte Darta huun

ho vahi mar-e-astin na kahin

dil ko mere chura ke le jaa.e

vo but-e-sehr-afrin na kahin

ye na kahiye kisi se ulfat se

kha.en dhoka yahan hamin na kahin

mudda.a dil ka kya kahen us se

ham se bigḌe vo naznin na kahin

dil kisi but ke dil se milta hai

ek ho jaa.en kufr-o-din na kahin

sher kahna samajh ke ai shankar

koi mil jaa.e nukta-chin na kahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kaise Rishton Ko sameTen Ye Bikharte Hue Log

poet

Dekhne Walon Ne Kuchh Dekha Bhi Hai

poet

Tark Shauq-E-Sharab Kya Karte

Mujhse Ab Tak Ye Gila Hai Mere Gham-KHwaron Ko

Ek laDka Tha Ek laDki Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet