• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dard Thamta Hi Nahin Sine Mein Aaram Ke Baad

Dard Thamta Hi Nahin Sine Mein Aaram Ke Baad

dard thamta hi nahin siine men aram ke ba.ad

ham to jalte hain charaghon ki tarah shaam ke ba.ad

bas yahi soch ke akasr main laraz jaata huun

jaane kya hoga mira hashr ke hangam ke ba.ad

ishq kar baiThe magar ham ne ye socha hi nahin

ḳhaak ho ja.enge ham ishq ke anjam ke ba.ad

likh ke kaghaz pe tira naam qalam toḌ diya

koi bhaya hi nahin mujh ko tire naam ke ba.ad

gham ke sailab men phir bah gaya maskan mera

chain paaya hi tha ik barish-e-alam ke ba.ad

mire qatil ne miri laash pe dam toḌ diya

vo pasheman tha bahut qatl ke ilzam ke ba.ad

ham ne sikha hai hunar fat.h-o-zafaryabi ka

azm apna hai javan koshish-e-nakam ke ba.ad

sang-sari-o-malamat hue ab apne nasib

ham to barbad hue kucha-e-asnam ke ba.ad

kya ḳhizan aa.i ki barbad hua saara chaman

rah ga.i ah-o-fughan gulshan-e-gulfam ke ba.ad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHayal Mein Ek Na Ek Maze Ki Nai Kahani Hai Aur Hum Hain

poet

Koi Manzil Bhi Nahin Hai Koi Rasta Bhi Nahin

Tumne Mahsus Kahan Meri Zarurat Ki Hai

imam-bakhsh-nasikh

Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain

Ab Zindagi Ro Ro Ke Guzarenge Nahin Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet