hava-e-hijr men jo kuchh tha ab ke ḳhaak hua
ki pairahan to gaya tha badan bhi chaak hua
ab us se tark-e-ta.alluq karun to mar ja.un
badan se ruuh ka is darja ishtirak hua
yahi ki sab ki kamanen hamin pe TuuTi hain
chalo hisab-e-saf-e-dostan to paak hua
vo be-sabab yunhi ruTha hai lamha-bhar ke liye
ye saneha na sahi phir bhi karb-nak hua
usi ke qurb ne taqsim kar diya aḳhir
vo jis ka hijr mujhe vaj.h-e-inhimak hua
shadid vaar na dushman diler tha ‘mohsin’
main apni be-ḳhabari se magar halak hua
Leave a Reply