ajab andaz-e-mahfil ho raha hai
ki marna tak bhi mushkil ho raha hai
sitara mah-e-kamil ho raha hai
koi ma.asum qatil ho raha hai
miri divangi men kuchh dinon se
junun ka rang shamil ho raha hai
jo hona hai vahi ho kar rahega
pareshan kis liye dil ho raha hai
qayamat jis ke qadmon se lagi hai
vo fitna jan-e-mahfil ho raha hai
tabahi dil ki nazdik aa rahi hai
nigahon ke muqabil ho raha hai
karun ai ‘shauq’ kya dushman ka shikva
yahan har dost qatil ho raha hai
Leave a Reply