kabhi ḳhud ko chhukar nahin dekhta huun
ḳhuda jaane bas vahm men mubtala huun
kahan tak ye raftar qaa.em rahegi
kahin ab use rokna chahta huun
vo aa kar mana le to kya haal hoga
ḳhafa ho ke jab itna ḳhush ho raha huun
faqat ye jatata huun avaz de kar
ki main bhi use naam se janta huun
gali men sab achchha hi kahte the mujh ko
mujhe kya pata tha main itna bura huun
nahin ye safar vapsi ka nahin hai
use DhunDne apne ghar ja raha huun
Leave a Reply