vo masaf-e-zist men har moḌ par tanha raha
phir bhi honTon par na us ke koi bhi shikva raha
jo sada tishna-labon ke vaste dariya raha
umr bhar vo ḳhud ba-nam-e-dostan pyasa raha
aql hairan hai junun bhi dam-ba-ḳhud hai soch kar
vo hujum-e-kushtagan men kis tarah zinda raha
phulne phalne ka mauqa.a to kahan un ko mila
nim-jan paudon pe jab tak aap ka saaya raha
‘alqama-shibli’ hava kaisi chali gulzar men
ashiyan men bhi parinda vaqt ka sahma raha
Leave a Reply