• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chand Lamhon Mein Moamma Zist Ka Hal Kar Gaya

Chand Lamhon Mein Moamma Zist Ka Hal Kar Gaya

poet

chand lamhon men mo.amma ziist ka hal kar gaya

ek divana ḳhirad-mandon ko pagal kar gaya

dhuup tapti ret par dariya pe badal kar gaya

us ka har kirdar mere zehn ko shal kar gaya

be-asar be-rabt lahja be-tavazun guftugu

vo mila bhi to tabi.at aur bojhal kar gaya

maslahat-amez baten abr ban kar chha ga.iin

dil ka savan is tarah barsa ki jal-thal kar gaya

meri aahaT pa ke jis ke chaunk uThte the kivaḌ

koi aaj is ghar ka darvaza muqaffal kar gaya

har taraf ye aam shohrat hai ki koi shah-savar

aaj saare shahar ke logon ko paidal kar gaya

sard lahje men vo mujh se guftugu karne ke ba.ad

jab uTha to rabt-e-zehn-o-dil mo.attal kar gaya

mauj us chehre pe likha ek lafz-e-intishar

ḳhud-farebi ke sabhi qisse mukammal kar gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ab to Ek Pal Ke Liye Bhi Na Ganwaenge Tumhein

Phir Usi Dhun Mein Usi Dhyan Mein Aa Jata Hun

tanKHwah-E-Tabar Bahr-E-daraKHtan-E-Kuhan Hai

sheikh-ibrahim-zauq

Lete Hi dil Jo Aashiq-E-dil-Soz Ka Chale

yasmeen-hameed

Parda Aankhon Se Hatane Mein Bahut der Lagi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet