tiir jaise kaman se nikla
harf-e-haq tha zaban se nikla
qaid-e-hasti se chhuTne vaala
vaqt ke imtihan se nikla
Tik na paaya hava ke jhonkon men
par shikasta uḌaan se nikla
sher aaya kachhar se bahar
aur sho.ala machan se nikla
gham vo kanTa ki aḳhiri dam tak
dil ko chhoḌa na jaan se nikla
jab ajal jhankti phiri ghar ghar
kaun zinda makan se nikla
zulmaton ka safir tha kya tha
saaya ik sa.eban se nikla
maslahat rokti rahi ‘ejaz’
tha jo dil men zaban se nikla
Leave a Reply