• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dilon Ke Raaz Sipurd-E-Hawa Nahin Karte

Dilon Ke Raaz Sipurd-E-Hawa Nahin Karte

dilon ke raaz sipurd-e-hava nahin karte

ham ahl-e-dil hain tamasha bapa nahin karte

kabhi gulon ki vo ḳhvahish kiya nahin karte

jinhen aziiz hain kanTe gila nahin karte

hamare naam se zinda hai sunnat-e-farhad

ham apne chak-e-gareban siya nahin karte

dilon men aa.e kahan se yaqin ki tasir

dua to karte hain dil se dua nahin karte

ye ishq-vishq ka chakkar faqat himaqat hai

zahin log himaqat kiya nahin karte

hamare tiir ko tukka kabhi nahin kahna

hamare tiir nishane ḳhata nahin karte

ye phuul un pe chaḌhate ho kis liye logo

shahid zinda hain un ka aza nahin karte

vo ḳhush-nasib hain rab ne jinhen navaza hai

ḳhuda ka shukr magar vo ada nahin karte

dilon ke daagh se raushan hai alam-e-hasti

dilon ke daagh kabhi bhi chhupa nahin karte

jahan men un ko milegi na manzil-e-maqsud

jo rasm-o-rah-e-mohabbat ada nahin karte

‘suhaib’ DhunDiye shayad ki raah nikle koi

faqih-e-shahr to sab se mila nahin karte

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sainkaDon Sae Magar Ek Aashna Chehra Na Tha

Dil-E-Muztar Ko Samjhaya Bahut Hai

Har-Chand Gam Gam Hawadis Safar Mein Hain

Subh Se Aur Miyan Sham Se Kya Milta Hai

poet

Mujhse Aashiq Ke Tain Mar Ke Kya Pawega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet