vo nazuk sa tabassum rah gaya vahm-e-hasin ban kar
numayan ho gaya zauq-e-sitam chin-e-jabin ban kar
bahut itra rahi hai raat zulf-e-ambarin ban kar
bahut maghrur hai nur-e-sahar rang-e-jabin ban kar
miri jama-dari ne raaz ye khola zamane par
ḳhirad dhoke diya karti hai jaib o astin ban kar
karam men bhi magar ik ghamza-e-ḳhun-rez shamil tha
nigahon ki taraf uTThi to dil ki nukta-chin ban kar
miri divangi thi ik sharar-e-arzu dil men
baḌhi to daar par raushan hui sham-e-yaqin ban kar
payam aate rahe aksar kisi mahv-e-taghaful ke
ada-e-bar-mala ban kar nigah-e-sharmagin ban kar
vo ik sajda na ho paaya jo barbad-e-haram ‘taban’
jabin-e-shauq par raushan hai pindar-e-jabin ban kar
Leave a Reply