• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Nigahban ruKH Ka Khaal-Ru-E-Dost

Hai Nigahban ruKH Ka Khaal-Ru-E-Dost

poet

hai nigahban ruḳh ka ḳhal-ru-e-dost

hafiz-e-qur.an hua hindu-e-dost

ham na hon patthar ho ham pahlu-e-dost

a.ina luuTe bahar-e-ru-e-dost

phir ga.i jab nargis-e-jadu-e-dost

sab musalman ho ga.e hindu-e-dost

bha ga.i hai dil ko aisi ḳhu-e-dost

aati hai har gul se mujh ko bu-e-dost

hai ḳhayal-e-ariz-o-gesu-e-dost

gah musalman huun kabhi hindu-e-dost

sau bala.en aa ga.iin ushshaq par

jab kamar tak aa ga.e gesu-e-dost

haDDiyan meri na khana ai huma

daant rakhte hain sagan-e-ku-e-dost

aag bhaḌke kyuun na pahlu men mire

ghair hain vaan aaj ham pahlu-e-dost

asl ye hai naql-e-mehrab-e-haram

sajda vajib hai tah-e-abru-e-dost

tegh-e-abru par kaTe lakhon gale

ban gaya ganj-e-shahidan ku-e-dost

dil hua maftun nigah-e-yar ka

sher-afgan hain magar ahu-e-dost

ba.ad-e-murdan qabr men aThon pahar

aa.ega mujh ko ḳhayal-e-ru-e-dost

phir raha hai aaj putli ki tarah

meri ankhon men qad-e-dil-ju-e-dost

hai ḳhayal-e-ḳhal-e-mushkin raat din

dil ko mere jaan lo mushku-e-dost

ab vahi sar hai ki Takrata huun main

vasl men ye tha sar-e-zanu-e-dost

kya koi aafat abhi baaqi hai aur

le chala hai dil mujhe phir su-e-dost

le uḌi be-saḳhta dil ko mire

aa ga.i jis dam hava-e-ku-e-dost

rang-e-ulfat se miTa zang-e-dui

ho ga.i hai mujh men paida bu-e-dost

ghairat-e-mansur huun main ai ‘habib’

har ghaḌi huun sarf-e-ha-o-hu-e-dost

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bhari Mahfil Mein Ganwane Ke Liye Kuchh Bhi Nahin

poet

Chhod Kar Mujhko Chali Ai Bewafa Main Bhi To Hun

Panchhiyon Ki Kisi Qatar Ke Sath

Be-Dili Wo Hai Ki Marne Ki Tamanna Bhi Nahin

afzal-allahabadi

Apni Tanhaiyon Ke Ghaar Mein Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet