yuun sang-dil hayat se ahd-o-vafa kiya
divar darmiyan thi magar ḳhud ko va kiya
miTTi ka rang-o-nur se rishta qadim tha
har baar zindagi ne naya tajraba kiya
the dastaras men yuun to sab asrar-e-kaenat
is umr-e-bevafa ne magar na-rasa kiya
har ajnabi maqam se tanha guzar gae
apna hi naqsh-e-pa tha jise rahnuma kiya
chamka diya lahu ne dil-e-tira-jism ko
ik sail-e-nur tha ki ragon men baha kiya
danista luT gaya ye saman-zar dekhna
phulon ne nik.haton ko sipurd-e-saba kiya
ye raat raushni ki tamanna men bujh gai
dil ko ye kis shikast ne be-mudda.a kiya
yuun to jahan tamam hai tufan-e-rang-o-nur
kis abshar ne hamen rangin-nava kiya
Leave a Reply