• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHaksari Kijiye Ya Shahryari Kijiye

KHaksari Kijiye Ya Shahryari Kijiye

ḳhaksari kijiye ya shahryari kijiye

ham gharibon men kuchh apna faiz jaari kijiye

jin se kuchh hasil nahin tabir-ḳhvahi ke siva

aise ḳhvabon men basar kyuun raat saari kijiye

jo hamara haal hai us se alag un ka nahin

sakinan-e-shahr se kya parda-dari kijiye

aap jo kahte hain vo karte nahin malum hai

pyaar kar sakte nahin baten to pyari kijiye

aa.en bhi tashrif le aa.en yahi dastur hai

baiTh kar mere sirhane gham-gusari kijiye

chuum kar ham chhoḌ denge ye guman sachcha nahin

aap apni chaah ka patthar na bhari kijiye

ham yuun hi mar ja.enge kaafi hai ishara aap ka

aankh ko ḳhanjar na abru ko kaTari kijiye

kusht-gan-e-ḳhanjar taslim kahlate hain kyuun

kuchh taḌap dikhla.iye kuchh be-qarari kijiye

ham bure hain ya bhale mahsus ḳhud ko bhi na ho

thoḌi apne aap se bhi hoshyari kijiye

sarkashan-e-ishq phir amada-e-fariyad hain

phir koi farman-e-qatl-e-am jaari kijiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Bhi surKH-Ru Hone Ka Ek Mauqa Nikal Aata

Dariya Se iKHtilat Hai Hum Ro Nahin Rahe

Tujhe Rahe Na Rahe Rabt-E-Bahami Ka KHayal

sameena-raja

Ek Umr Ki der

KHud Ko Tamasha KHub Banata Raha Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet