ek dar va hua to band hazar
mehrban kam hain bahra-mand hazar
hav-hu ḳhaak laao lashkar ki
mard koi nahin kamand hazar
marham-e-ḳhush-mizajiyan chida
dil ko pahunchi huiin gazand hazar
talḳhi-e-jam-e-zist jaati nahin
Daal kar dekh li hai qand hazar
aah nikli shumar se bahar
ashk ho paa.e bas ki chand hazar
Leave a Reply