zindagi ka har nafas mamnun hai tadbir ka
va.izo dhoka na do insan ko taqdir ka
apni sanna.i ki tujh ko laaj bhi hai ya nahin
ai musavvir dekh rang uḌne laga tasvir ka
aap kyuun ghabra ga.e ye aap ko kya ho gaya
meri aahon se koi rishta nahin tasir ka
dil se nazuk shai se kab tak ye harifana suluk
dekh shisha TuuTa jaata hai tiri tasvir ka
har nafas ki amad-o-shud par ye hoti hai ḳhushi
ek halqa aur bhi kam ho gaya zanjir ka
farq itna hai ki tu parde men aur main be-hijab
varna main aks-e-mukammal huun tiri tasvir ka
Leave a Reply