ye kaisi hava-e-gham-o-azar chali hai
ḳhud bad-e-bahari bhi sharar-bar chali hai
dekhi hi na thi jis ne shikast aaj tak apni
vo chashm-e-fusun-ḳhez bhi dil haar chali hai
ab koi hadis-e-qad-o-gesu nahin sunta
duniya men vo rasm-e-rasan-o-dar chali hai
takta hi nahin koi mai o jaam ki janib
kya chaal ye tu ne nigah-e-yar chali hai
vo log kahan jaa.en jo kafir hain na din-dar
phir kashmakash-e-kafir-o-din-dar chali hai
baat aur bhi kuchh mai ki mazammat ke alava
ye baat to ai shaiḳh ka.i baar chali hai
divangi-e-shauq men jo kar ga.e ham log
meyar-e-ḳhirad ban ke vo guftar chali hai
sazish na ho kuchh dair o haram valon ki is men
sunta huun ki mai-ḳhane men talvar chali hai
kab yaad kiya ham ko ‘hafiz’ ahl-e-chaman ne
jab ziist su-e-vadi-e-pur-ḳhar chali hai
Leave a Reply