• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Is Tarah Se Tasawwur Mein Aa Raha Hai Koi

Kuchh Is Tarah Se Tasawwur Mein Aa Raha Hai Koi

kuchh is tarah se tasavvur men aa raha hai koi

charagh ruuh men jaise jala raha hai koi

koi kalim uThe varna intizar ke ba.ad

charagh-e-tur-e-mohabbat bujha raha hai koi

vo dair ka tha ki ka.abe ka ye nahin ma.alum

miri ḳhudi ka muhafiz ḳhuda raha hai koi

jo rokna ho to aa baḌh ke rok le varna

tire hudud-e-taghaful se ja raha hai koi

ravan-davan nahin be-vaj.h karvan-e-hayat

mujhe zarur kahin se bula raha hai koi

badal rahe hain jujun-o-ḳhirad ke paimane

kis ehtimam-e-taghayyur se aa raha hai koi

na kuchh malal-e-asiri na ḳhatra-e-sayyad

qafas samajh ke nasheman bana raha hai koi

zamin-o-charḳh ne inkar kar diya jis se

vo baar dosh-e-vafa par uTha raha hai koi

jahan-e-nau men ba-rang-e-kashakash-e-paiham

hayat-e-nau ke saliqe sikha raha hai koi

ḳhabar karo ye haqa.eq ke pasbanon ko

majaz kho ke haqiqat men aa raha hai koi

na jaane kaun si manzil men ishq hai ki mujhe

mire hudud se bahar bula raha hai koi

Daro ḳhuda se baḌa bol bolne vaalo

qarib ham se bhi be-intiha raha hai koi

mujhe sitam men izafe ka gham nahin lekin

yaqin kar ki mire ba.ad aa raha hai koi

nigah-o-lab men hansi ki sakat nahin lekin

ba-jabr-e-ishq-o-vafa muskura raha hai koi

ye sub.h-o-sham ki yurish ye mausamon ki ravish

ki jaise mere ta.aqub men aa raha hai koi

kisi ko is ki ḳhabar hi nahin thi kuchh ‘ehsan’

ki miT ke apna zamana bana raha hai koi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-allahabadi

Mehrbani Hai Ayaadat Ko Jo Aate Hain Magar

Ku-E-Haram Se Nikli Hai Ku-E-Butan Ki Rah

aleena-itrat

Sare Mausam Badal Gae Shayad

Qalb-E-Warafta Mohabbat Mein Kahin Aisa Na Ho

Kaun Aaya Gesuon Ko Pareshan Kiye Hue

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet