• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hangam-E-Naza Mahw Hun Tere Khayal Ka

Hangam-E-Naza Mahw Hun Tere Khayal Ka

haidar-ali-aatish

hangam-e-nazaa mahv huun tere khayal ka

mushtaq huun farishta-e-sahib-jamal ka

pairahan us javan ne jo pahna hai chhal ka

milta nahin chaman men mizaj ik nihal ka

aluda be-gunahon ke khuun se hai tegh-e-charkh

na-fahmon ko guman hai shafaq men hilal ka

shana banenge baad-e-fana apne ustukhan

uqda khulega gesuon ke baal baal ka

biini suhail mushtari o zohra gosh hain

qutub-e-shumal-e-husn hai til tere gaal ka

kis kis bashar ko laai hai duniya fareb men

kya kya javan murid hai us pir-zal ka

laati hai vaan qaza-o-qadar murgh-e-ruh ko

paani jahan qafas ka hai daana hai jaal ka

amrad-parast hai to gulistan ki sair kar

har naunihal rashk hai yaan khurd-sal ka

ik dam main ja milunga azizan-e-rafta se

kya arsa hai zamana-e-mazi se haal ka

surkh o safed rang se hota hai ashkar

vo jism-e-naznin hai abiir o gulal ka

ai dil qaza na aae idhar tiktiki na bandh

goli ka samna hai ye nazzara khaal ka

bosa diye se husn men hogi kami na yaar

hota nahin zakat se nuqsan maal ka

vo chashm hi nahin dil-e-vahshi ki fikr men

har turk ko hai shauq shikar-e-ghazal ka

zanjir o tauq har baras aa kar pinha gai

divana huun main bad-e-bahari ki chaal ka

roz-e-siyah hijr men mere jale charagh

parvanon ko nasib hua din visal ka

rone ke badle haal par apne hansa kiye

parda hua na faash hamare malal ka

dikhlaya be-naqab jise banda ho gaya

vo ru-e-sada-naqsh hai sahib kamal ka

karti hai yaan zaban-e-kamar yaar men kalam

maadum hai javab hamare saval ka

‘atish’ lahad se utthunga kahta ye roz-e-hashr

mushtaq huun main yaar ke husn-o-jamal ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nazeer-akbarabadi

Saqi Se Jo Humne Mai Ka Ek Jam Liya

Zabt-E-Gham Hai Meri Poshak Meri Izzat Rakh

shahryar

Naya Khel

poet

duniya Mein Yahi Chor Banata Hai Asas Ko

Jaise Kisi Se Wasl Ka Wada Wafa Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet