na jaane kab ki dabi talḳhiyan nikal aa.iin
zara si baat thi aur barchhiyan nikal aa.iin
hua ye ham pe andheron ki sazishon ka asar
hamare zehn men bhi khiḌkiyan nikal aa.iin
mujhe navaz di maula ne phuul si beTi
mire hisab men kuchh nekiyan nikal aa.iin
vo peḌ jis pe qaza ban ke bijliyan TuTin
suna hai us pe hari pattiyan nikal aa.iin
badalti rut men ye kam-zarfiyon ka aalam hai
bilon se pankh liye chyunTiyan nikal aa.iin
ḳhuda ke vaste ab to safar tamam karo
ki ab qafas se bhi to ungliyan nikal aa.iin
ye mo.ajiza hi to hai ai ‘nafas’ ki tufan men
samundaron se sabhi kashtiyan nikal aa.iin
Leave a Reply