jab apne dil pe apnā kuchh iḳhtiyār dekhā
begāna-ḳhū hasīñ ko begāna-vār dekhā
paiham tajalliyoñ kī mujh meñ sakat kahāñ thī
nazreñ churā churā kar sūe-nigār dekhā
aaj apnī be-ḳhudī ko irfāñ kī raushnī meñ
us māh-e-sīm-tan kā ā.īna-dār dekhā
terī ināyatoñ se anjām-bīñ nazar meñ
āġhāz-e-ishq hī meñ anjām-e-kār dekhā
ye bholī bholī sūrat ai chāñd phir bhī tū ne
merī taraf se apne dil meñ ġhubār dekhā
husn-e-shabāb-parvar kis darje sehar-zā hai
dekhā tirā zamāna ai gul-e-ezār dekhā
us shoḳh kī galī meñ manzūr-e-tafta-jāñ ko
phir be-qarār paayā phir ashk-bār dekhā