hisar-e-did men jaaga tilism-e-binai
zara jo lau tiri sham-e-badan ki tharrai
na jaane kis se bichhadne ke rag-rang hain sab
ye zindagi hai ki furqat ki bazm-arai
sukut-e-bahr men kis gham ka raaz pinhan tha
bas ek mauj uthi aur aankh bhar aai
ye samt samt takhatub ufuq ufuq taqrir
tira kalam hai mera rafiq-e-tanhai
khirad ki rah jo chala main to dil ne mujh se kaha
aziz-e-man ”ba-salamat-ravi o baz-ai”
uthae suur sarafil dekhta hi raha
bashar ke haath nizam-e-qayamat-arai
kiya tha ji ka ziyan ham ne ik ghazal bhar ko
hazar sher kahe ho saki na bharpai
Leave a Reply