• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-E-Sharab Mein

Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-E-Sharab Mein

jo nuur dekhta huun main jam-e-sharab men

vo aftab men hai na vo mahtab men

is tarah azm-e-zohd hai ahd-e-shabab men

chalne ka jaise qasd kare koi ḳhvab men

meri nazar se chhup ke rahen vo hijab men

mere nadim kya mah-o-anjum hain ḳhvab men

mujh ko suna.e jaate hain afsane ḳhuld ke

Duuba hua huun masti-e-sher-o-sharab men

aḳhir tilism-e-ghuncha-o-gul TuuT kar raha

meri nazar se chhup na sake vo hijab men

insan kha raha hai fareb-e-hayat kyuun

kashti kabhi ravan bhi hui hai sarab men

begana-e-nazar the hamin is ka kya ilaaj

shamil hain rahmaten bhi kisi ke itaab men

har manzar-e-jamil pe go ruk ga.i nazar

Thahre magar tumhin nigah-e-intiḳhab men

mera har ik nafas hai payam-e-raza-e-dost

zahid phansa hua hai azab-o-savab men

har manzar-e-jamil ko Thukra ke ai ‘ra.is’

ḳhud samne hon apni nazar ke javab men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hamesha Ek Si Raftar Ho Aisa Nahin Hota

Wo Ek Jhalak Dikha Ke Jidhar Se Nikal Gaya

momin-khan-momin

Na Intizar Mein Yan Aankh Ek Aan Lagi

Bijli kaDki Baadal Garja Main KHamosh Raha

allama-iqbal

La-Ilaha-Illallah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet