apna pata mujhe bata bahr-e-khuda tu kaun hai
tujh pe hain saare mubtala bahr-e-khuda tu kaun hai
nam-e-khuda suna kiya tere siva nahin mila
saari sifat se hai bhara bahr-e-khuda tu kaun hai
tera hasad to naam tha ho gaya banda kis tarah
teri hi zaat hai baqa bahr-e-khuda tu kaun hai
tere se hast kul hui thi tu adam men be-nishan
haadi muzil hai barmala bahr-e-khuda tu kaun hai
malik-e-do-jahan hai tu chahe jise ata kare
kar de gada ko badsha bahr-e-khuda tu kaun hai
tere karam se ai shaha main ne khuda-numa hua
tha tu fana baqa mila bahr-e-khuda tu kaun hai
‘markaz’-e-jumla-kaenat mazhar-e-zat-e-kibriya
tere siva nahin hua bahr-e-khuda tu kaun hai
Leave a Reply