ye ah-e-be-asar kya ho ye naḳhl-e-be-samar kya ho
na ho jab dard hi yarab to dil kya ho jigar kya ho
baghal-gir aarzu se hain muraden aarzu mujh se
yahan is vaqt to ik iid hai tum jalva-gar kya ho
muqaddar men ye likkha hai kaTegi umr mar-mar kar
abhi se mar ga.e ham dekhiye ab umr bhar kya ho
muravvat se ho begana vafa se duur ho koson
ye sach hai naznin ho ḳhub-surat ho magar kya ho
laga kar zaḳhm men Tanke qaza teri na aa jaa.e
jo vo saffak sun paa.e bata ai chara-gar kya ho
qayamat ke bakheḌe paḌ ga.e aate hi duniya men
ye maana ham ne mar jaana to mumkin hai magar kya ho
kaha main ne ki ‘nazm’-e-mubtala marta hai hasrat men
kaha us ne agar mar jaa.e to mera zarar kya ho
Leave a Reply