tira jalva nihayat dil-nashin hai
mohabbat lekin is se bhi hasin hai
junun ki koi manzil hi nahin hai
yahan har gaam gam-e-avvalin hai
suna hai yuun bhi akasr zikr un ka
ki jaise kuchh ta.alluq hi nahin hai
masiha ban ke jo nikle the ghar se
lahu men tar unhin ki astin hai
main rah-e-ishq ka tanha musafir
kise avaz duun koi nahin hai
‘shamim’ us ko kahin dekha hai tum ne
suna hai vo rag-e-jan se qarin hai
Leave a Reply