jo dar khula hai shikasta makan ka hissa hai
mira yaqin fareb-e-guman ka hissa hai
kahan se aa.i haram men ye ḳhak-e-rah-guzar
vahin pe Daal do us ko jahan ka hissa hai
kisi shikasta jagah Thiik baiThta hi nahin
dil-e-hazin ka ye TukḌa kahan ka hissa hai
safar nasib huun sahil se kya gharaz mujh ko
mira safina to ab-e-ravan ka hissa hai
ajab usuul bane hain yahan tijarat ke
kisi ka suud kisi ke ziyan ka hissa hai
faza-e-alam-e-insaniyat ka afsana
kahin zamin kahin asman ka hissa hai
use zamane ki gardish miTa nahin sakti
ye zindagi nafas-e-javedan ka hissa hai
‘vali’ se le ke jo phaili hai ‘mir’-o-‘ghalib’ tak
hamara qissa usi dastan ka hissa hai
falak misal hai ‘mahir’ hamari basti bhi
hamara ghar bhi kisi kahkashan ka hissa hai
Leave a Reply