safar men ab ke ajab tajraba nikal aaya
bhaTak gaya to naya rasta nikal aaya
mere hi naam ki taḳhti lagi thi jis dar par
vo jab khula to kisi aur ka nikal aaya
dukhon ki jhaḌiyan ugti chali ga.iin dil men
har ek jhaḌi se jangal ghana nikal aaya
ik aur naam juḌa dushmanon ke namon men
ik aur dost mira a.ina nikal aaya
kuchh aaj ashkon ki lazzat na.i na.i si hai
purane gham ka naya za.iqa nikal aaya
ye mera aks hai ya aur hai koi mujh men
ki jis ka qad mire qad se baḌa nikal aaya
baḌhe kuchh is tarah donon hi dosti ki taraf
ki darmiyan men naya fasla nikal aaya
dua salam se aage jo thoḌi baat baḌhi
jo us ka dukh tha vahi dukh mira nikal aaya
miri ghazal men kisi bevafa ka zikr na tha
na jaane kaise tira tazkira nikal aaya
Leave a Reply