• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Itni Sadgi Laen Kahan Se

Ab Itni Sadgi Laen Kahan Se

parveen-shakir

ab itni sadgi laaen kahan se

zamin ki khair mangen asman se

agar chahen to vo divar kar den

hamen ab kuchh nahin kahna zaban se

sitara hi nahin jab saath deta

to kashti kaam le kya badban se

bhatakne se mile fursat to puchhen

pata manzil ka mir-e-karvan se

tavajjoh barq ki hasil rahi hai

so hai azad fikr-e-ashiyan se

hava ko raz-dan ham ne banaya

aur ab naraz khushbu ke bayan se

zaruri ho gai hai dil ki zinat

makin pahchane jaate hain makan se

fana-fil-ishq hona chahte the

magar fursat na thi kar-e-jahan se

vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thi

badi hikmat hai vabasta khizan se

kisi ne baat ki thi hans ke shayad

zamane bhar se hain ham khud guman se

main ik ik tiir pe khud dhaal banti

agar hota vo dushman ki kaman se

jo sabza dekh kar kheme lagaen

unhen taklif kyuun pahunche khizan se

jo apne ped jalte chhod jaaen

unhen kya haq ki ruthen baghban se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aziyyat Uski Zehni Dur Kar De

Kashkol Hai to La Idhar Aa Kar Laga Sada

akhtar-shirani

Na Saz-O-Mutrib Na Jam-O-Saqi Na Wo Bahaar-E-Chaman Hai Baqi

ahmad-hamesh

Jab Se Main Khud Ko Kho Raha Hun

poet

Duniya-E-Sitam Zer-O-Zabar Ho Ke Rahegi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet