tumhara husn asar ke siva kuchh aur nahin
hamara zauq nazar ke siva kuchh aur nahin
na kam ho kaash ye soz-e-jigar qayamat tak
ki ishq soz-e-jigar ke siva kuchh aur nahin
mata.a-e-sina-e-ahl-e-nazar hain chand aansu
sadaf ke paas guhar ke siva kuchh aur nahin
hamari sub.h ka aalam tamam-e-dard-o-firaq
tumhari sub.h sahar ke siva kuchh aur nahin
bana sakegi mohabbat hi javedan us ko
hayat raqs-e-sharar ke siva kuchh aur nahin
hudud-e-dair-o-haram men sukun-e-dil malum
yahan to naf-o-zarar ke siva kuchh aur nahin
‘bashir’ manzil-e-hasti se dil pareshan hai
chalo ki chara safar ke siva kuchh aur nahin
Leave a Reply