• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaan di Un Pe Mar-Mite Siske

Jaan di Un Pe Mar-Mite Siske

poet

jaan di un pe mar-mite siske

hain hasin log ashna kis ke

un ko sikhlai ham ne araish

ruuh phunki hai shakhsh-e-be-his ke

naale pahunche gharib ke ta-arsh

bach gae danke mard-e-muflis ke

rakh ke khanjar gale pe kahta hai

maar daala agar zara khiske

bazm men ja mili rafiqon ko

kante boe hain baagh men bis ke

kya bataen ki kis ke ashiq hain

vo nazar aae to kahen is ke

naala kar kar ke dil hua khamosh

rah gaya hai pa phoda ris ris ke

koi kaabe gaya haram ko koi

bande dargah apne ghar ghis ke

gesu-e-yar agar hai dam-e-bala

khal-e-mushkin bhi kanten hain bis ke

chhoda piiri men ruuh ne tan-e-zar

jaama utra badan se ghis pis ke

dida-e-surma-sa ki ulfat men

‘muntahi’ khaak ho gae pis ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-majeed-hairat

Muddaton dekh Liya Chup Rah Ke

Kuchh Ab Ke Bahaaron Ka Bhi Andaz Naya Hai

ain-tabish

Ghubar-e-Jahan Mein Chhupe Ba-Kamalon Ki Saf dekhta Hun

abbas-tabish

Kas Kar Bandhi Gai Ragon Mein dil Ki Girah To dhili Hai

Sultan Baho

Hafiz Padh Padh Karan Takabbar Mullan Karan Wadai Hu

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet