ham bhi shair the kabhi jan-e-sukhan yaad nahin
tujh ko bhule hain to dil-dari-e-fan yaad nahin
dil se kal mahv-e-takallum the to maalum hua
koi kakul koi lab koi dahan yaad nahin
aql ke shahr men aaya hai to yuun gum hai junun
lab-e-goya ko bhi be-sakhta-pan yaad nahin
avval avval to na the vaqif-e-adab-e-qafas
aur ab rasm-o-rah-e-ahl-e-chaman yaad nahin
har koi navak o tarkash ki dukan puchhta hai
kisi gahak ko magar apna badan yaad nahin
vaqt kis dasht-e-faramoshi men le aaya hai
ab tira naam bhi khakam-ba-dahan yaad nahin
ye bhi kya kam hai gharib-ul-vatani men ki ‘faraz’
ham ko be-mehri-e-arbab-e-vatan yaad nahin
Leave a Reply