ham ki majnun ko dua kahte hain
ru-e-laila ko saba kahte hain
kitni afsurda hai ye sham-e-bahar
jis ko ham taaza hava kahte hain
apni ankhon men na jaane kab ka
ḳhvab hai jis ko ḳhuda kahte hain
phuul men us ka lahu bahta hai
chand ko us ki qaba kahte hain
unhi ḳhuban ki hatheli pe raho
is liye tum ko hina kahte hain
ham vo paband-e-vafa hain ki tujhe
ab bhi be-mehr-o-vafa kahte hain
sher kahte hain ghazal ke ya.ani
ḳhvab ko ḳhvab-numa kahte hain
Leave a Reply