bar-sar-e-lutf aaj chashm-e-dil-ruba thi main na tha
dhundhti mujh ko nigah-e-ashna thi main na tha
yaar ko madd-e-nazar mashq-e-jafa thi main na tha
vaae qismat kal vahan meri qaza thi main na tha
mere hote be-takalluf hatha-pai ghair se
qabil is rutbe ke zalim kya hina thi main na tha
aah meri na-rasa fariyad meri be-asar
niind uda di jis ne teri vo hava thi main na tha
yaad farmana tha mujh ko bhi dam-e-gul-gasht-e-bagh
saath chalne ko jilau main kya saba thi main na tha
ai pari pa-bos se mahrum kyuun rakkha mujhe
khun-girafta is chaman men kya hina thi main na tha
va-e-qismat dhundti thi kal mujhe shamshir-e-yar
rahmat-e-am us ki sar-garm-e-ata thi main na tha
jaam miina baada saaqi chang daf barbat rabab
nahr gulshan chandni sabza faza thi main na tha
apne kuche men kiya hota mujhe jarub-kash
sahab is khidmat ke qabil kya saba thi main na tha
tod kar aflak jo pahunchi sar-e-arsh-e-barin
qudsiyo vo meri ah-e-na-rasa thi main na tha
umr-e-rafta tu hi mujh vamanda ka sun le payam
qafile valon se kah dena ki sathi main na tha
subh-e-vasl azurdagi mujh se hi kis taqsir par
vajh-e-narazi to meri iltija thi main na tha
jab gila ashob-pardazon ka us but se kiya
bol utha shokhi se chashm-e-fitna-za thi main na tha
jaam miina baada saaqi tha ye sab ‘nazim’ vahan
par miri qismat ki khali meri ja thi main na tha
Leave a Reply