Chandni Raat Sogwar Nahin

chāñdnī raat sogvār nahīñ

jaise ab un kā intizār nahīñ

apnī hī aarzū meñ martā huuñ

ab kisī kā bhī intizār nahīñ

ab junūñ hai mirā tamām hī hosh

ab garebān taar taar nahīñ

dil kī be-kaifiyoñ ko kyā kiije

fasl-e-gul hai magar bahār nahīñ

ishq vo nashsha hai ki jis meñ ‘rāz’

kaif-o-mastī to hai ḳhumār nahīñ

Leave a Comment