makin ko makan se nikaliye
ye nuqta asman se nikaliye
hamare saath kijiye mukalima
to ḳhud ko darmiyan se nikaliye
ḳhazana rahne dijiye zamin men
havas ko dastan se nikaliye
nami jagah bana rahi hai aankh men
ye tiir ab kaman se nikaliye
hamari chup ko sunte jaa.en ghaur se
hamari baat kaan se nikaliye
fazaon men panap rahi hain sazishen
so bal-o-par bhi dhyan se nikaliye
samay guzar raha hai saans rok kar
sadi ko imtihan se nikaliye
nikal na jaa.e baat dusri taraf
lakir ik zaban se nikaliye
ḳharab ho rahi hai jins-e-arzu
ye maal ab dukan se nikaliye
Leave a Reply