• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Kabhi Unki Tawajjoh Mein Kami Pai Gai

Jab Kabhi Unki Tawajjoh Mein Kami Pai Gai

sahir-ludhianvi

jab kabhi un ki tavajjoh men kami paai gai

az-sar-e-nau dastan-e-shauq dohrai gai

bik gae jab tere lab phir tujh ko kya shikva agar

zindagani baada o saghar se bahlai gai

ai gham-e-duniya tujhe kya ilm tere vaste

kin bahanon se tabiat raah par laai gai

ham karen tark-e-vafa achchha chalo yuun hi sahi

aur agar tark-e-vafa se bhi na rusvai gai

kaise kaise chashm o aariz gard-e-gham se bujh gae

kaise kaise paikaron ki shan-e-zebai gai

dil ki dhadkan men tavazun aa chala hai khair ho

meri nazren bujh gaiin ya teri raanai gai

un ka gham un ka tasavvur un ke shikve ab kahan

ab to ye baten bhi ai dil ho gaiin aai gai

jurat-e-insan pe go tadib ke pahre rahe

fitrat-e-insan ko kab zanjir pahnai gai

arsa-e-hasti men ab tesha-zanon ka daur hai

rasm-e-changezi uthi tauqir-e-darai gai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aadil-raza-mansoori

libas

Ishq Aazar Kar Diya Jae

Galiyon Mein Lahu-Rezi Ka Kuchh Hal Nikal Aae

Ain Mumkin Hai Ye Duniya Tujhe Shahkar Lage

Din Ko Daftar Mein Akela Shab Bhare Ghar Mein Akela

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet