baithe baithe kaisa dil ghabra jaata hai
jaane valon ka jaana yaad aa jaata hai
bat-chit men jis ki ravani masal hui
ek naam lete men kuchh ruk sa jaata hai
hansti-basti rahon ka khush-bash musafir
rozi ki bhatti ka indhan ban jaata hai
daftar mansab donon zehn ko kha lete hain
ghar valon ki qismat men tan rah jaata hai
ab is ghar ki abadi mehmanon par hai
koi aa jaae to vaqt guzar jaata hai
Leave a Reply