kabhi hava to kabhi ḳhak-e-rahguzar hona
mire nasib men likha hai dar-ba-dar hona
agar chalo to mire saath hi chalo lekin
kaThin safar se ziyada hai ham-safar hona
udaas udaas ye divar-o-dar batate hain
ki jaise raas na ho un ko mera ghar hona
qadam uThe bhi nahin aur safar tamam hua
ghazab hai raah ka itna bhi muḳhtasar hona
ye daur-e-kam-nazaran hai to phir hunar ka ziyan
jo ek baar na hona to beshtar hona
Leave a Reply