marun to main kisi chehre men rang bhar jaun
‘nadim’ kaash yahi ek kaam kar jaun
ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb ki pyaas
jo izn ho to tiri yaad se guzar jaun
mira vajud miri ruuh ko pukarta hai
tiri taraf bhi chalun to thahar thahar jaun
tire jamal ka partav hai sab hasinon par
kahan kahan tujhe dhundun kidhar kidhar jaun
main zinda tha ki tira intizar khatm na ho
jo tu mila hai to ab sochta huun mar jaun
tire siva koi shaista-vafa bhi to ho
main tere dar se jo uthun to kis ke ghar jaun
ye sochta huun ki main but-parast kyuun na hua
tujhe qarib jo paun to khud se dar jaun
kisi chaman men bas is khauf se guzar na hua
kisi kali pe na bhule se paanv dhar jaun
ye ji men aati hai takhliq-e-fan ke lamhon men
ki khuun ban ke rag-e-sang men utar jaun
Leave a Reply