jab apne va.adon se un ko makr hi jaana tha
hamen bhi saari hadon se guzar hi jaana tha
lahu ki taab se raushan tha karvan-e-hayat
fareb dene se behtar to mar hi jaana tha
na rakh sake sar-e-sauda-e-ishq ki tauqir
buland rakhte ḳhushi se jo sar hi jaana tha
lahu ki aag asiri men sard ho ke rahi
isi liye hamen zindan se ghar hi jaana tha
jo intishar-e-vajud-e-ziyan hi tha maqsum
charagh-e-nur ki surat bikhar hi jaana tha
na mil saki kahin ghar se siva hamen vahshat
palaT ke is liye qadmon ko ghar hi jaana tha
hui jo zer-o-zabar ziist yuun masa.il se
ghurur-e-ishq ka dariya utar hi jaana tha
agarche milta bhi un ko unhi sa sauda.i
fareb-e-dosti ‘ḳhalid’ ke sar hi jaana tha
Leave a Reply